yahi nahin ki faqat teri justuju bhi main

Sadique Naseem

yahi nahin ki faqat teri justuju bhi main

Sadique Naseem

MORE BYSadique Naseem

  yahī nahīñ ki faqat tirī justujū bhī maiñ

  ḳhud apne aap ko paane aarzū bhī maiñ

  udaas udaas sar-e-sāġhar-o-subū bhī maiñ

  yam-e-nashāt ik mauj-e-tund-ḳhū bhī maiñ

  mujhī meñ gum haiñ ka.ī tīrgī ba-kaf rāteñ

  ziyā-farosh sar-e-tāq-e-ārzū bhī maiñ

  mujhī se qā.em-o-dā.em haiñ ghar ke sannāTe

  tumhārī bazm-e-tamannā hāv-hū bhī maiñ

  nihāñ mujhī meñ hai qātil bhī aur masīhā bhī

  ki chāk-e-zaḳhm bhī maiñ sozan-e-rafū bhī maiñ

  ḳhud apne aap meñ jhāñkūñ to maiñ bhī maiñ na rahūñ

  nigāh ḳhud se haTā.ūñ to chār-sū bhī maiñ

  jo raah chalte mirī samt aañkh bhī na uThā.e

  usī bazm mauzū-e-guftugū bhī maiñ

  tumhārī bazm se uThne bhī ḳhayāl mujhe

  zarā der Thaharne hīla-jū bhī maiñ

  tilism-e-dūrī-o-qurbat ko toḌ kar 'sādiq'

  pukārtā hai koī aa.ine se bhī maiñ

  yahi nahin ki faqat teri justuju bhi main

  KHud apne aap ko pane ki aarzu bhi main

  udas udas sar-e-saghar-o-subu bhi main

  yam-e-nashat ki ek mauj-e-tund-KHu bhi main

  mujhi mein gum hain kai tirgi ba-kaf raaten

  ziya-farosh sar-e-taq-e-arzu bhi main

  mujhi se qaem-o-daem hain ghar ke sannaTe

  tumhaari bazm-e-tamanna ki haw-hu bhi main

  nihan mujhi mein hai qatil bhi aur masiha bhi

  ki chaak-e-zaKHm bhi main sozan-e-rafu bhi main

  KHud apne aap mein jhankun to main bhi main na rahun

  nigah KHud se haTaun to chaar-su bhi main

  jo rah chalte meri samt aankh bhi na uThae

  usi ki bazm ka mauzu-e-guftugu bhi main

  tumhaari bazm se uThne ka bhi KHayal mujhe

  zara si der Thaharne ka hila-ju bhi main

  tilism-e-duri-o-qurbat ko toD kar 'sadiq'

  pukarta hai koi aaine se tu bhi main

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY