Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

un se izhaar-e-shikayat karun ya na karun

Arsh Sahbai

un se izhaar-e-shikayat karun ya na karun

Arsh Sahbai

MORE BYArsh Sahbai

    un se iz.hār-e-shikāyāt karūñ na karūñ

    lab pe larzāñ hai ik baat karūñ na karūñ

    khīñch laa.e na kahīñ phir ye mohabbat kashish

    jur.at-e-tark-e-mulāqāt karūñ na karūñ

    merī ḳhāmoshī-e-paiham unheñ shikva hai

    zikr-e-be-dardī-e-hālāt karūñ na karūñ

    hai ġham-e-hāl meñ insān pareshāñ-ḳhātir

    fikr-e-fardā koī baat karūñ na karūñ

    un se izhaar-e-shikayat karun ya na karun

    lab pe larzan si hai ek baat karun ya na karun

    khinch lae na kahin phir ye mohabbat ki kashish

    jurat-e-tark-e-mulaqat karun ya na karun

    meri KHamoshi-e-paiham ka unhen shikwa hai

    zikr-e-be-dardi-e-haalat karun ya na karun

    hai gham-e-haal mein insan pareshan-KHatir

    fikr-e-farda ki koi baat karun ya na karun

    Source:

    Shikast-e-Jaam (Pg. 48)

    • Author: Arsh Sahbai
      • Edition: 1958
      • Publisher: Jogindar Qamar
      • Year of Publication: 1958
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now