Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aabaad gham-o-dard se virana hai us ka

Naseem Dehlvi

aabaad gham-o-dard se virana hai us ka

Naseem Dehlvi

MORE BYNaseem Dehlvi

    ābād ġham-o-dard se vīrāna hai us

    TuuTā huā jo dil hai vo kāshāna hai us

    jis dil meñ ki hai shauq vo paimāna hai us

    jis aañkh meñ hai kaif vo mai-ḳhāna hai us

    jab dekhiye kahtā hai vahī zikr sunāo

    ma.alūm huā shauq bhī dīvāna hai us

    behosh agar maiñ huuñ to bā-hosh kahāñ hai

    jo ḳhalq hai is dahr meñ dīvāna hai us

    din-rāt hai ye maskan-e-anvār-e-tasavvur

    siina jise kahte haiñ parī-ḳhāna hai us

    joban safā.ī se phisaltī haiñ nigāheñ

    paḌtī hai jidhar aañkh parī-ḳhāna hai us

    ai dil havas-e-vasl se mushtāq haiñ mahrūm

    jaañ avval-e-dīdār meñ begāna hai us

    jo sīna-e-raushan hai vo hai manzil-e-ulfat

    jo dil sifat-e-sham.a hai parvāna hai us

    kahte haiñ jise husn vo hai shama-e-jahāñ-tāb

    kahte haiñ jise ishq vo parvāna hai us

    jab fasl-e-gul aatī hai sadā detī hai vahshat

    zanjīr gul nāla-e-mastāna hai us

    dekhā to safar ruuh ko hotā hai usī se

    kahte haiñ jise maut vo parvāna hai us

    gauhar se fuzūñ dīda-e-āshiq ke haiñ aañsū

    dāman meñ hai ma.ashūq ke jo daana hai us

    kuchh rutba-e-āshiq se bhī ai jaañ ho ḳhabar-dār

    sāmān ka.ī roz se shāhāna hai us

    muñh āshiq-e-sādiq ke na chaḌh vā.iz-e-makkār

    har haal meñ jo haal hai rindāna hai us

    āgāh nahīñ qissa-e-mansūr se ai dil

    dushman hoñ zan-o-mard vo yārāna hai us

    kyā pūchhte ho hāl-e-'nasīm'-e-jigar-afgār

    dekhā jise ḳhush-vaz.a vo dīvāna hai us

    aabaad gham-o-dard se virana hai us ka

    TuTa hua jo dil hai wo kashana hai us ka

    jis dil mein ki hai shauq wo paimana hai us ka

    jis aankh mein hai kaif wo mai-KHana hai us ka

    jab dekhiye kahta hai wahi zikr sunao

    malum hua shauq bhi diwana hai us ka

    behosh agar main hun to ba-hosh kahan hai

    jo KHalq hai is dahr mein diwana hai us ka

    din-raat hai ye maskan-e-anwar-e-tasawwur

    sina jise kahte hain pari-KHana hai us ka

    joban ki safai se phisalti hain nigahen

    paDti hai jidhar aankh pari-KHana hai us ka

    ai dil hawas-e-wasl se mushtaq hain mahrum

    jaan awwal-e-didar mein begana hai us ka

    jo sina-e-raushan hai wo hai manzil-e-ulfat

    jo dil sifat-e-shama hai parwana hai us ka

    kahte hain jise husn wo hai shama-e-jahan-tab

    kahte hain jise ishq wo parwana hai us ka

    jab fasl-e-gul aati hai sada deti hai wahshat

    zanjir ka gul nala-e-mastana hai us ka

    dekha to safar ruh ko hota hai usi se

    kahte hain jise maut wo parwana hai us ka

    gauhar se fuzun dida-e-ashiq ke hain aansu

    daman mein hai mashuq ke jo dana hai us ka

    kuchh rutba-e-ashiq se bhi ai jaan ho KHabar-dar

    saman kai roz se shahana hai us ka

    munh aashiq-e-sadiq ke na chaDh waiz-e-makkar

    har haal mein jo haal hai rindana hai us ka

    aagah nahin qissa-e-mansur se ai dil

    dushman hon zan-o-mard wo yarana hai us ka

    kya puchhte ho haal-e-'nasim'-e-jigar-afgar

    dekha jise KHush-waza wo diwana hai us ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now