Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aabaadiyon mein kho gaya sahraon ka junun

Syed Fazlul Mateen

aabaadiyon mein kho gaya sahraon ka junun

Syed Fazlul Mateen

MORE BYSyed Fazlul Mateen

    ābādiyoñ meñ kho gayā sahrāoñ junūn

    shahroñ jamghaToñ meñ gayā gaañv sukūn

    hālāt ke asiir hue masḳh ho ga.e

    chehre pe jin ke dauḌtā thā nāzukī ḳhuun

    tahzīb-e-nau raushnī meñ jal-bujhe tamām

    maazī yādgār mire ilm aur funūn

    bechain zindagī ke taqāze ajiib haiñ

    phir us jagah chaleñ jahāñ kho aa.e haiñ sukūn

    ye tajraba bhī gardish-e-hālāt se huā

    kaise saped hotā hai har āshnā ḳhuun

    lo kaam hosh se ye nayā daur hai 'matīn'

    vahshat na saath degī na kaam aa.egā junūn

    aabaadiyon mein kho gaya sahraon ka junun

    shahron ka jamghaTon mein gaya ganw ka sukun

    haalat ke asir hue masKH ho gae

    chehre pe jin ke dauDta tha nazuki ka KHun

    tahzib-e-nau ki raushni mein jal-bujhe tamam

    mazi ki yaadgar mere ilm aur funun

    bechain zindagi ke taqaze ajib hain

    phir us jagah chalen jahan kho aae hain sukun

    ye tajraba bhi gardish-e-haalat se hua

    kaise saped hota hai har aashna ka KHun

    lo kaam hosh se ye naya daur hai 'matin'

    wahshat na sath degi na kaam aaega junun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now