Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aabla-pai gawara KHastagi manzur hai

Syed Ashoor Kazmi

aabla-pai gawara KHastagi manzur hai

Syed Ashoor Kazmi

MORE BYSyed Ashoor Kazmi

    ābla-pā.ī gavārā ḳhastagī manzūr hai

    pūchhnā ye hai ki manzil aur kitnī duur hai

    ho vo insāñ ḳhudā.ī mashīnoñ nizām

    zad pe istehsāl mazdūr thā mazdūr hai

    mohtasib mahkūm hoñ hākim ho zer-e-ehtisāb

    banda-parvar bas yahī islām dastūr hai

    dekhnā aaya to nasloñ tak añdherā chhā gayā

    maslahat kahtī rahī sab raushnī hai nuur hai

    sarhadoñ par dushmanoñ fauj ghar meñ apnī fauj

    saare gulshan fazā bārūd se māmūr hai

    barchhiyoñ nok par ailān-e-haq sheva mirā

    fikr ke ḳheme jalānā aap manshūr hai

    shahr ke saare ujāle justujū-e-nūr meñ

    raushnī har haqīqat aañkh se mastūr hai

    zaat se ġhāfil huā tasḳhīr-e-mehr-o-māh meñ

    aadmī apnī anā meñ kis qadar mahsūr hai

    jurm-e-haq-goī hai iqrār us ko barmalā

    manzil-e-dār-o-rasan mustahiq 'āshūr' hai

    aabla-pai gawara KHastagi manzur hai

    puchhna ye hai ki manzil aur kitni dur hai

    ho wo insan ki KHudai ya mashinon ka nizam

    zad pe istehsal ki mazdur tha mazdur hai

    mohtasib mahkum hon hakim ho zer-e-ehtisab

    banda-parwar bas yahi islam ka dastur hai

    dekhna aaya to naslon tak andhera chha gaya

    maslahat kahti rahi sab raushni hai nur hai

    sarhadon par dushmanon ki fauj ghar mein apni fauj

    sare gulshan ki faza barud se mamur hai

    barchhiyon ki nok par ailan-e-haq shewa mera

    fikr ke KHeme jalana aap ka manshur hai

    shahr ke sare ujale justuju-e-nur mein

    raushni ki har haqiqat aankh se mastur hai

    zat se ghafil hua tasKHir-e-mehr-o-mah mein

    aadmi apni ana mein kis qadar mahsur hai

    jurm-e-haq-goi ka hai iqrar us ko barmala

    manzil-e-dar-o-rasan ka mustahiq 'ashur' hai

    Source:

    Harf Harf Junoon (Pg. 90)

    • Author: Syed Ashoor Kazmi
      • Publisher: Saraswati Offset Press, Allahabad
      • Year of Publication: 1999
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now