aadmi chaunk chuka hai magar uTTha to nahin

Muzaffar Warsi

aadmi chaunk chuka hai magar uTTha to nahin

Muzaffar Warsi

MORE BYMuzaffar Warsi

  aadmī chauñk chukā hai magar uTThā to nahīñ

  maiñ jise DhūñDh rahā huuñ ye vo duniyā to nahīñ

  ruuh ko dard milā dard ko āñkheñ na milīñ

  tujh ko mahsūs kiyā hai tujhe dekhā to nahīñ

  rañg shakl milī hai tujhe ḳhushbū mizāj

  lāla-o-gul kahīñ terā sarāpā to nahīñ

  chehra dekhūñ to ḳhad-o-ḳhāl badal jaate

  chhup ke ā.īne ke pīchhe koī baiThā to nahīñ

  pheñk kar maar zamīñ par na zamāne mujh ko

  TuuT jā.ūñgā jaise maiñ khilaunā to nahīñ

  zindagī tujh se har ik saañs pe samjhautā karūñ

  shauq jiine hai mujh ko magar itnā to nahīñ

  merī āñkhoñ meñ tire naqsh-e-qadam kaise haiñ

  is sarā.e meñ musāfir koī Thahrā to nahīñ

  sochte sochte dil Dūbne lagtā hai mirā

  zehan tah meñ 'muzaffar' koī dariyā to nahīñ

  aadmi chaunk chuka hai magar uTTha to nahin

  main jise DhunDh raha hun ye wo duniya to nahin

  ruh ko dard mila dard ko aankhen na milin

  tujh ko mahsus kiya hai tujhe dekha to nahin

  rang si shakl mili hai tujhe KHushbu sa mizaj

  lala-o-gul kahin tera hi sarapa to nahin

  chehra dekhun to KHad-o-KHal badal jate hi

  chhup ke aaine ke pichhe koi baiTha to nahin

  phenk kar mar zamin par na zamane mujh ko

  TuT hi jaunga jaise main khilauna to nahin

  zindagi tujh se har ek sans pe samjhauta karun

  shauq jine ka hai mujh ko magar itna to nahin

  meri aankhon mein tere naqsh-e-qadam kaise hain

  is sarae mein musafir koi Thahra to nahin

  sochte sochte dil Dubne lagta hai mera

  zehan ki tah mein 'muzaffar' koi dariya to nahin

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY