aadmi ghar se jab nikalta hai
aadmī ghar se jab nikaltā hai
ḳhauf kyoñ saath saath chaltā hai
jaise badle ho tum mire yaaro
is tarah bhī koī badaltā hai
haq jatātā hai apnā manzil par
do qadam jo bhī saath chaltā hai
dars kaise vafāoñ kā sīkhe
tifl jo nafratoñ meñ paltā hai
tū hai insāñ to saañp kī sūrat
zahr hoñToñ se kyoñ ugaltā hai
gulsitāñ yuuñ hī to nahīñ mahkā
ḳhuun pī kar hamārā paltā hai
aaj zinda huuñ is tarah 'hātif'
diip āñdhī meñ jaise jaltā hai
aadmi ghar se jab nikalta hai
KHauf kyon sath sath chalta hai
jaise badle ho tum mere yaro
is tarah bhi koi badalta hai
haq jatata hai apna manzil par
do qadam jo bhi sath chalta hai
dars kaise wafaon ka sikhe
tifl jo nafraton mein palta hai
tu hai insan to sanp ki surat
zahr honTon se kyon ugalta hai
gulsitan yun hi to nahin mahka
KHun pi kar hamara palta hai
aaj zinda hun is tarah 'hatif'
dip aandhi mein jaise jalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.