Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aadmi tha kya wahi ek kaam ka

Jagdeesh Raj Figar

aadmi tha kya wahi ek kaam ka

Jagdeesh Raj Figar

MORE BYJagdeesh Raj Figar

    aadmī thā kyā vahī ik kaam

    arz par jis koī maskan na thā

    jo kisī ne pairahan mujh ko diyā

    vo mire tan hissa ban gayā

    ham the juḌvāñ is liye tan ek thā

    ek surgeon ne alag ham ko kiyā

    jal meñ jab tak maiñ rahā zinda rahā

    taT pe sāgar ke maiñ aa kar mar gayā

    jab kabhī maiñ sochne kuchh lag paḌā

    duur tak phir silsila chaltā rahā

    maiñ zamīñ par ik tarah bojh thā

    vo to maañ thī us ko ye sahnā paḌā

    vajd meñ aatā kabhī to peḌ

    Tahniyoñ par chaḌh ke aksar jhūltā

    thā maiñ sālik ik anokhā dahr meñ

    jo bhī maslak mil gayā maiñ chal paḌā

    ālam-e-jabrūt sākin thā maiñ

    ālam-e-siflī meñ kaise aa gayā

    hādse ko roknā thā is liye

    rāste par ho gayā kar khaḌā

    band karte the kabhī the kholte

    ruup darvāze mujh ko kyā milā

    leT jaatā piiTh ke bal farsh par

    dekh letā jab bhī aate meñ qazā

    jo samāvī the qamar par base

    maiñ thā ḳhākī dahr meñ rah gayā

    mujh ko denā thā 'figār' un javāb

    chiTThiyoñ sāmne ambār thā

    aadmi tha kya wahi ek kaam ka

    arz par jis ka koi maskan na tha

    jo kisi ne pairahan mujh ko diya

    wo mere hi tan ka hissa ban gaya

    hum the juDwan is liye tan ek tha

    ek surgeon ne alag hum ko kiya

    jal mein jab tak main raha zinda raha

    taT pe sagar ke main aa kar mar gaya

    jab kabhi main sochne kuchh lag paDa

    dur tak phir silsila chalta raha

    main zamin par ek tarah ka bojh tha

    wo to man thi us ko ye sahna paDa

    wajd mein aata kabhi to peD ki

    Tahniyon par chaDh ke aksar jhulta

    tha main salik ek anokha dahr mein

    jo bhi maslak mil gaya main chal paDa

    aalam-e-jabrut ka sakin tha main

    aalam-e-sifli mein kaise aa gaya

    hadse ko rokna tha is liye

    raste par ho gaya ja kar khaDa

    band karte the kabhi the kholte

    rup darwaze ka mujh ko kya mila

    leT jata piTh ke bal farsh par

    dekh leta jab bhi aate mein qaza

    jo samawi the qamar par ja base

    main tha KHaki dahr mein hi rah gaya

    mujh ko dena tha 'figar' un ka jawab

    chiTThiyon ka samne ambar tha

    Source:

    Shafaq-e-Sukhan (Pg. 113)

    • Author: Jagdeesh Raj Figar
      • Publisher: Jagdeesh Raj Figar
      • Year of Publication: 1999
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now