Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aae aane ko hazaron gham hazaron gham gae

Pundit Amar Nath Hoshiyarpuri

aae aane ko hazaron gham hazaron gham gae

Pundit Amar Nath Hoshiyarpuri

MORE BYPundit Amar Nath Hoshiyarpuri

    aa.e aane ko hazāroñ ġham hazāroñ ġham ga.e

    ġham ziyāda se ziyāda aa.e kam se kam ga.e

    dam dilāse hausle dete masīhā dam ga.e

    aa.e be-had ḳhush magar bā-dīda-e-pur-nam ga.e

    ab na aanā tum pa.e bīmār-pursī dosto

    ab yahī alfāz kaafī haiñ tum aa.e ham ga.e

    uḌ ga.e to uḌ ga.e kāfūr mānind ham

    jam ga.e to anjuman meñ sūrat-e-yaḳh jam ga.e

    dar-ba-dar dhūnī ramāne vaale ramte ab kahāñ

    dar-ba-dar dhūnī ramāne vaale ramte ram ga.e

    yūrish-e-barq-o-balā meñ kab mirā dam-ḳham gayā

    jal ga.ī rassī to kyā kyā us ke pech-o-ḳham ga.e

    ab to apne aap meñ bhī hazrat-e-ādam nahīñ

    ab to apne aap se bhī hazrat-e-ādam ga.e

    aae aane ko hazaron gham hazaron gham gae

    gham ziyaada se ziyaada aae kam se kam gae

    dam dilase hausle dete masiha dam gae

    aae be-had KHush magar ba-dida-e-pur-nam gae

    ab na aana tum pae bimar-pursi dosto

    ab yahi alfaz kafi hain tum aae hum gae

    uD gae to uD gae kafur ki manind hum

    jam gae to anjuman mein surat-e-yaKH jam gae

    dar-ba-dar dhuni ramane wale ramte ab kahan

    dar-ba-dar dhuni ramane wale ramte ram gae

    yurish-e-barq-o-bala mein kab mera dam-KHam gaya

    jal gai rassi to kya kya us ke pech-o-KHam gae

    ab to apne aap mein bhi hazrat-e-adam nahin

    ab to apne aap se bhi hazrat-e-adam gae

    Source :
    • Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 166)
    • Publication : Raghu Nath suhai ummid
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now