aae bhi to wo munh ko chhupae mere aage
aa.e bhī to vo muñh ko chhupā.e mire aage
is tarah se aa.e ki na aa.e mire aage
bujhte hue dekhūñgā na maiñ dil kī lagī ko
koī na kabhī sham.a bujhā.e mire aage
tevar yahī kahte the ki ye naam hai merā
likh kar ka.ī harf us ne miTā.e mire aage
bichhḌe hue ma.ashūq mileñ sab ko ilāhī
tanhā koī jannat meñ na jaa.e mire aage
kuchh 'dāġh' kā mazkūr jo aaya to vo bole
aa.e the burā haal banā.e mire aage
aae bhi to wo munh ko chhupae mere aage
is tarah se aae ki na aae mere aage
bujhte hue dekhunga na main dil ki lagi ko
koi na kabhi shama bujhae mere aage
tewar yahi kahte the ki ye nam hai mera
likh kar kai harf us ne miTae mere aage
bichhDe hue mashuq milen sab ko ilahi
tanha koi jannat mein na jae mere aage
kuchh 'dagh' ka mazkur jo aaya to wo bole
aae the bura haal banae mere aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.