Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aae hain hum jahan mein gham le kar

Hasrat Azimabadi

aae hain hum jahan mein gham le kar

Hasrat Azimabadi

MORE BYHasrat Azimabadi

    aa.e haiñ ham jahāñ meñ ġham le kar

    dil-e-pur-ḳhūñ o chashm-e-nam le kar

    sāġhar-e-mai kahāñ hai ai gardūñ

    kyā kareñ terā jām-e-jam le kar

    va.ada aqsām kar chukā ḳhilāf

    ab ke chhoḌūñgā maiñ qasam le kar

    us mahfil se kab uThegā raqīb

    ye sa.ādat-bhare qadam le kar

    tar-o-ḳhushk-e-jahāñ pe qaane rah

    dast-e-daurāñ se besh-o-kam le kar

    sar se maarā kareñ paḌe apne

    go shahāñ tabl aur alam le kar

    raah meñ terī zo.af se 'hasrat'

    chale har har qadam meñ dam le kar

    aae hain hum jahan mein gham le kar

    dil-e-pur-KHun o chashm-e-nam le kar

    saghar-e-mai kahan hai ai gardun

    kya karen tera jam-e-jam le kar

    wada aqsam kar chuka tu KHilaf

    ab ke chhoDunga main qasam le kar

    us ki mahfil se kab uThega raqib

    ye saadat-bhare qadam le kar

    tar-o-KHushk-e-jahan pe qane rah

    dast-e-dauran se besh-o-kam le kar

    sar se mara karen paDe apne

    go shahan tabl aur alam le kar

    rah mein teri zoaf se 'hasrat'

    chale har har qadam mein dam le kar

    Source:

    Deewan-e-Hasrat Azeemabadi (Pg. 292)

      • Edition: 1978
      • Publisher: Taraqqi Urdu Board, New Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now