aae ho yun tabah karne ko
aa.e ho yuuñ tabāh karne ko
āfrīñ is nigāh karne ko
jaan detā huuñ apne marne par
saañs letā huuñ aah karne ko
merī hastī hai dahr meñ goyā
zindagī meñ gunāh karne ko
jal gayā misl-e-ātish-e-ḳhāmosh
dil taḌaptā thā chaah karne ko
sādgī meñ hai bāñkpan pinhāñ
husn ko be-panāh karne ko
un ko chāhūñ 'nazar' vo baat kahāñ
chāhtā huuñ nibāh karne ko
aae ho yun tabah karne ko
aafrin is nigah karne ko
jaan deta hun apne marne par
sans leta hun aah karne ko
meri hasti hai dahr mein goya
zindagi mein gunah karne ko
jal gaya misl-e-atish-e-KHamosh
dil taDapta tha chah karne ko
sadgi mein hai bankpan pinhan
husn ko be-panah karne ko
un ko chahun 'nazar' wo baat kahan
chahta hun nibah karne ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.