aag aur tarah ki hai dhuan aur tarah ka
aag aur tarah kī hai dhuāñ aur tarah kā
hai kuchh mire jalne kā samāñ aur tarah kā
ye shahr hai miTTī hai yahāñ aur tarah kī
ye dasht hai paanī hai yahāñ aur tarah kā
dete haiñ ḳhabar ḳhush-guzarāñ aur tarah kī
karte haiñ suḳhan dil-zadagāñ aur tarah kā
par mil ga.e miTTī ko to āñkhoñ pe khulā ye
manzar hai sar-e-kāhkashāñ aur tarah kā
tā'mīr kī buniyād meñ dil rakkhā hai maiñ ne
ham log uThā.eñge makāñ aur tarah kā
aag aur tarah ki hai dhuan aur tarah ka
hai kuchh mere jalne ka saman aur tarah ka
ye shahr hai miTTi hai yahan aur tarah ki
ye dasht hai pani hai yahan aur tarah ka
dete hain KHabar KHush-guzaran aur tarah ki
karte hain suKHan dil-zadagan aur tarah ka
par mil gae miTTi ko to aankhon pe khula ye
manzar hai sar-e-kahkashan aur tarah ka
ta'mir ki buniyaad mein dil rakkha hai main ne
hum log uThaenge makan aur tarah ka
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 64)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.