Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aag bahte hue pani mein lagane aai

Anjum Rehbar

aag bahte hue pani mein lagane aai

Anjum Rehbar

MORE BYAnjum Rehbar

    aag bahte hue paanī meñ lagāne aa.ī

    tere ḳhat aaj maiñ dariyā meñ bahāne aa.ī

    phir tirī yaad na.e ḳhvāb dikhāne aa.ī

    chāñdnī jhiil ke paanī meñ nahāne aa.ī

    din sahelī tarah saath rahā āñgan meñ

    raat dushman tarah jaan jalāne aa.ī

    maiñ ne bhī dekh liyā aaj use ġhair ke saath

    ab kahīñ ke mirī aql Thikāne aa.ī

    zindagī to kisī rahzan tarah thī 'anjum'

    maut rahbar tarah raah dikhāne aa.ī

    aag bahte hue pani mein lagane aai

    tere KHat aaj main dariya mein bahane aai

    phir teri yaad nae KHwab dikhane aai

    chandni jhil ke pani mein nahane aai

    din saheli ki tarah sath raha aangan mein

    raat dushman ki tarah jaan jalane aai

    main ne bhi dekh liya aaj use ghair ke sath

    ab kahin ja ke meri aql Thikane aai

    zindagi to kisi rahzan ki tarah thi 'anjum'

    maut rahbar ki tarah rah dikhane aai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now