Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aag jo dil mein lagi hai wo bujha di jae

Asra Rizvi

aag jo dil mein lagi hai wo bujha di jae

Asra Rizvi

MORE BYAsra Rizvi

    aag jo dil meñ lagī hai vo bujhā jaa.e

    phir koī taaza ġhazal aaj sunā jaa.e

    zīnat-e-jism bane ruuh ko chhalnī kar de

    aisī har rasm zamāne se miTā jaa.e

    sunte haiñ ishq bāzār bahut garm hai phir

    qīmat-e-husn zarā aur baḌhā jaa.e

    ik jhalak ke liye sau baar sar-e-bām gayā

    ātish-e-shauq ko kuchh aur havā jaa.e

    raaz siine meñ dabā hai jo sar-e-bazm kahūñ

    sirf ik baar mujhe us razā jaa.e

    zindagī dhuup meñ jalte hue kaaTī jis ne

    saaya mil jaa.e koī us ko duā jaa.e

    jā-ba-jā aks merī āñkhoñ meñ ubhre jis

    us tasvīr bhī ab dil se haTā jaa.e

    vaqt aajil hai safar tuul hai dam āñkhoñ meñ

    ruḳh-e-jānāñ se naqāb ab to uThā jaa.e

    tishnagī aañkh kam ho koī sūrat nikle

    pas-e-parda jhalak kaash dikhā jaa.e

    munjamid koh-e-nidā par hai taġhāful se tire

    hiddat-e-chashm-e-karam us pe luTā jaa.e

    muskurāte hue sar siine pe rakh kar bole

    maraz-e-ishq hai lāzim hai davā jaa.e

    ye bhī mumkin hai magar tab ki vo ḳhud aa ke kahe

    baat jo dil ko dukhātī hai bhulā jaa.e

    aag jo dil mein lagi hai wo bujha di jae

    phir koi taza ghazal aaj suna di jae

    zinat-e-jism bane ruh ko chhalni kar de

    aisi har rasm zamane se miTa di jae

    sunte hain ishq ka bazar bahut garm hai phir

    qimat-e-husn zara aur baDha di jae

    ek jhalak ke liye sau bar sar-e-baam gaya

    aatish-e-shauq ko kuchh aur hawa di jae

    raaz sine mein daba hai jo sar-e-bazm kahun

    sirf ek bar mujhe us ki raza di jae

    zindagi dhup mein jalte hue kaTi jis ne

    saya mil jae koi us ko dua di jae

    ja-ba-ja aks meri aankhon mein ubhre jis ka

    us ki taswir bhi ab dil se haTa di jae

    waqt aajil hai safar tul hai dam aankhon mein

    ruKH-e-jaanan se naqab ab to uTha di jae

    tishnagi aankh ki kam ho koi surat nikle

    pas-e-parda hi jhalak kash dikha di jae

    munjamid koh-e-nida par hai taghaful se tere

    hiddat-e-chashm-e-karam us pe luTa di jae

    muskuraate hue sar sine pe rakh kar bole

    maraz-e-ishq hai lazim hai dawa di jae

    ye bhi mumkin hai magar tab ki wo KHud aa ke kahe

    baat jo dil ko dukhati hai bhula di jae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now