aag nafrat ki jo lagai hai
aag nafrat kī jo lagā.ī hai
vo siyāsat kī lab-kushā.ī hai
jis mohabbat kī baat karte ho
ham se kyā tum ne vo nibhā.ī hai
dard dil kā batāne meñ sab ko
ham ne paayā ki jag-hañsā.ī hai
sard mausam ke baa'd pighlegī
barf rishtoñ pe jam sī aa.ī hai
kar ke khilvāḌ tū ne qudrat se
sar pe aafat hī bas bulā.ī hai
chaltī kaise nahīñ usī pe 'anū'
raah rahbar ne jo dikhā.ī hai
aag nafrat ki jo lagai hai
wo siyasat ki lab-kushai hai
jis mohabbat ki baat karte ho
hum se kya tum ne wo nibhai hai
dard dil ka batane mein sab ko
hum ne paya ki jag-hansai hai
sard mausam ke ba'd pighlegi
barf rishton pe jam si aai hai
kar ke khilwaD tu ne qudrat se
sar pe aafat hi bas bulai hai
chalti kaise nahin usi pe 'anu'
rah rahbar ne jo dikhai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.