aag pani hawa ghubar aaya
aag paanī havā ġhubār aayā
jo bhī aayā vo sharmsār aayā
tere hisse meñ ik nayā sūraj
mere hisse meñ intizār aayā
aaj ik farz kī huī takmīl
aaj ik qarz bhī utaar aayā
maiñ ne dariyā pe hukmrānī kī
aur sāhil se jang haar aayā
karne baiThā shumār ḳhud ko maiñ
sāmne koī taar taar aayā
aag pani hawa ghubar aaya
jo bhi aaya wo sharmsar aaya
tere hisse mein ek naya suraj
mere hisse mein intizar aaya
aaj ek farz ki hui takmil
aaj ek qarz bhi utar aaya
main ne dariya pe hukmrani ki
aur sahil se jang haar aaya
karne baiTha shumar KHud ko main
samne koi tar tar aaya
- Book : Ishq (Pg. 116)
- Author :Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.