aaghaz to hota hai anjam nahin hota
āġhāz to hotā hai anjām nahīñ hotā
jab merī kahānī meñ vo naam nahīñ hotā
jab zulf kī kālak meñ ghul jaa.e koī raahī
badnām sahī lekin gumnām nahīñ hotā
hañs hañs ke javāñ dil ke ham kyuuñ na chuneñ TukḌe
har shaḳhs kī qismat meñ in.aam nahīñ hotā
dil toḌ diyā us ne ye kah ke nigāhoñ se
patthar se jo Takrā.e vo jaam nahīñ hotā
din Duube hai yā Duubī bārāt liye kashtī
sāhil pe magar koī kohrām nahīñ hotā
aaghaz to hota hai anjam nahin hota
jab meri kahani mein wo nam nahin hota
jab zulf ki kalak mein ghul jae koi rahi
badnam sahi lekin gumnam nahin hota
hans hans ke jawan dil ke hum kyun na chunen TukDe
har shaKHs ki qismat mein inam nahin hota
dil toD diya us ne ye kah ke nigahon se
patthar se jo Takrae wo jam nahin hota
din Dube hai ya Dubi baraat liye kashti
sahil pe magar koi kohram nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.