Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aage wo ja bhi chuke lutf-e-nazara bhi gaya

Abu Mohammad Wasil Bahraichi

aage wo ja bhi chuke lutf-e-nazara bhi gaya

Abu Mohammad Wasil Bahraichi

MORE BYAbu Mohammad Wasil Bahraichi

    aage vo bhī chuke lutf-e-nazāra bhī gayā

    chashm-e-ġhaflat na khulī sub.h taarā bhī gayā

    sard-mehrī se tirī garmī-e-ulfat na rahī

    dil meñ uThtā thā jo har-dam vo sharāra bhī gayā

    dil ke ā.īne meñ jab aap sūrat dekhī

    jis ko dhokā maiñ samajhtā thā vo dhokā bhī gayā

    ishq ko tāb-e-tajallī nahīñ kyā dekhegā

    husn ye jaan ke pardoñ ko uThātā bhī gayā

    kis ne paa.ī hai ġham-e-yār-e-mohabbat se najāt

    ishq bojh kahīñ sar se utārā bhī gayā

    tere qadmoñ pe jo lazzat hai vo hāsil na huī

    yuuñ to sajde meñ sar-e-ijz jhukāyā bhī gayā

    dil āshufta-mizājī meñ na kuchh farq aayā

    bārhā zulf-e-pareshāñ ko sañvārā bhī gayā

    māñgne se kahīñ ye chiiz milā kartī hai

    dil churāne ke qābil thā churāyā bhī gayā

    be-ḳhudī tujh pe tasadduq hoñ mire hosh-o-havās

    sāmne hote hue un ko pukārā bhī gayā

    ek chiiz hai parde meñ ki bairūn-e-hijāb

    mujh ko zāhir bhī kiyā ḳhud ko chhupāyā bhī gayā

    phir bhī āñkheñ rahīñ mahrūm-e-tamāshā-e-jamāl

    un tasvīr ko shīshe meñ utārā bhī gayā

    chhoḌ kar mujh ko bhañvar meñ na ḳhabar merī

    ik sahārā thā tumhārā vo sahārā bhī gayā

    pā-e-mahbūb pe sar rakh ke hue ham 'vāsil'

    zindagī paa.ī na.ī maut dhaḌkā bhī gayā

    dil ke ā.īne meñ nādīda tajallī dekhī

    ḳhud-numā.ī bhalā ho ki vo pardā bhī gayā

    aage wo ja bhi chuke lutf-e-nazara bhi gaya

    chashm-e-ghaflat na khuli subh ka tara bhi gaya

    sard-mehri se teri garmi-e-ulfat na rahi

    dil mein uThta tha jo har-dam wo sharara bhi gaya

    dil ke aaine mein jab aap ki surat dekhi

    jis ko dhoka main samajhta tha wo dhoka bhi gaya

    ishq ko tab-e-tajalli nahin kya dekhega

    husn ye jaan ke pardon ko uThata bhi gaya

    kis ne pai hai gham-e-yar-e-mohabbat se najat

    ishq ka bojh kahin sar se utara bhi gaya

    tere qadmon pe jo lazzat hai wo hasil na hui

    yun to sajde mein sar-e-ijz jhukaya bhi gaya

    dil ki aashufta-mizaji mein na kuchh farq aaya

    barha zulf-e-pareshan ko sanwara bhi gaya

    mangne se kahin ye chiz mila karti hai

    dil churane hi ke qabil tha churaya bhi gaya

    be-KHudi tujh pe tasadduq hon mere hosh-o-hawas

    samne hote hue un ko pukara bhi gaya

    ek hi chiz hai parde mein ki bairun-e-hijab

    mujh ko zahir bhi kiya KHud ko chhupaya bhi gaya

    phir bhi aankhen rahin mahrum-e-tamasha-e-jamal

    un ki taswir ko shishe mein utara bhi gaya

    chhoD kar mujh ko bhanwar mein na KHabar li meri

    ek sahaara tha tumhaara wo sahaara bhi gaya

    pa-e-mahbub pe sar rakh ke hue hum 'wasil'

    zindagi pai nai maut ka dhaDka bhi gaya

    dil ke aaine mein nadida tajalli dekhi

    KHud-numai ka bhala ho ki wo parda bhi gaya

    Source:

    Jalwa-e-Haq (Pg. 54)

    • Author: Abu Mohammad vasil
      • Edition: 2000
      • Publisher: Urdu Academy
      • Year of Publication: 2000
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now