Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baĔhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aah bharte hue nikalte hain

Mohsin Shaafi

aah bharte hue nikalte hain

Mohsin Shaafi

MORE BYMohsin Shaafi

    aah bharte hue nikalte haiƱ

    ashk jalte hue nikalte haiƱ

    ḳhauf phailā hai itnā bastī meñ

    log Darte hue nikalte haiƱ

    ham qalandar mizāj galiyoƱ meƱ

    raqs karte hue nikalte haiƱ

    shaam hote hī terī yādoƱ ke

    saaƱp Daste hue nikalte haiƱ

    dil kī dhaḌkan badalne lagtī hai

    jab vo haƱste hue nikalte haiƱ

    ghar se nād-e-alī kā ham 'shāfī'

    vird karte hue nikalte haiƱ

    aah bharte hue nikalte hain

    ashk jalte hue nikalte hain

    KHauf phaila hai itna basti mein

    log Darte hue nikalte hain

    hum qalandar mizaj galiyon mein

    raqs karte hue nikalte hain

    sham hote hi teri yaadon ke

    sanp Daste hue nikalte hain

    dil ki dhaDkan badalne lagti hai

    jab wo hanste hue nikalte hain

    ghar se nad-e-ali ka hum 'shafi'

    wird karte hue nikalte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here

    Speak Now