aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaina ruTh gaya hai tere jaane ke baad

Arpit Sharma Arpit

aaina ruTh gaya hai tere jaane ke baad

Arpit Sharma Arpit

MORE BYArpit Sharma Arpit

    aa.ina ruuTh gayā hai tire jaane ke baad

    ik añdherā bichhā hai tire jaane ke baad

    kis qadar TuuT ke barse haiñ ye bādal ġham ke

    āsmāñ chīḳh uThā hai tire jaane ke baad

    dil ke TukḌe hue barsāt huī ashkoñ

    kyā kahūñ kyā kyā huā hai tire jaane ke baad

    zehn bhī chup hai zabāñ chup hai nazar bhī chup hai

    ham ne bhī kuchh na kahā hai tire jaane ke baad

    chīḳhtā khañDar hai rotī hai havelī dil

    ghar ye āseb-zada hai tire jaane ke baad

    ghar meñ dīpak jalā hai na koī sham-e-vafā

    muddatoñ dil jalā hai tire jaane ke baad

    aisī Thokar kabhī khaa.ī na thī is se pahle

    mujh ko sadma lagā hai tire jaane ke baad

    ye zamāna nahīñ ḳhud se bhī 'arpit' mujh ko

    kuchh ta.alluq na rahā hai tire jaane ke baad

    aaina ruTh gaya hai tere jaane ke baad

    ek andhera sa bichha hai tere jaane ke baad

    kis qadar TuT ke barse hain ye baadal gham ke

    aasman chiKH uTha hai tere jaane ke baad

    dil ke TukDe hue barsat hui ashkon ki

    kya kahun kya kya hua hai tere jaane ke baad

    zehn bhi chup hai zaban chup hai nazar bhi chup hai

    hum ne bhi kuchh na kaha hai tere jaane ke baad

    chiKHta khanDar hai roti hai haweli dil ki

    ghar ye aaseb-zada hai tere jaane ke baad

    ghar mein dipak hi jala hai na koi sham-e-wafa

    muddaton dil hi jala hai tere jaane ke baad

    aisi Thokar kabhi khai na thi is se pahle

    mujh ko sadma sa laga hai tere jaane ke baad

    ye zamana hi nahin KHud se bhi 'arpit' mujh ko

    kuchh talluq na raha hai tere jaane ke baad

    Source:

    Word File Mail By Salim Saleem

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now