Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaiye ai jaan-e-alam aaiye

Gauhar Begum Gauhar

aaiye ai jaan-e-alam aaiye

Gauhar Begum Gauhar

MORE BYGauhar Begum Gauhar

    aa.iye ai jān-e-ālam aa.iye

    apne bande par karam farmā.iye

    iid aa.ī aur gayā māh-e-siyām

    chāñd muñh aap to dikhlā.iye

    sāl-bhar guzrā umīd-e-vasl meñ

    iid din hai gale lag jā.iye

    ik ghaḌī bhī baiThnā dūbhar huā

    dil ko samjhā leñge achchhā jā.iye

    vasl kahtā huuñ jab 'gauhar' se maiñ

    hañs ke kahte haiñ ki muñh banvā.iye

    aaiye ai jaan-e-alam aaiye

    apne bande par karam farmaiye

    id aai aur gaya mah-e-siyam

    chand sa munh aap to dikhlaiye

    sal-bhar guzra umid-e-wasl mein

    id ka din hai gale lag jaiye

    ek ghaDi bhi baiThna dubhar hua

    dil ko samjha lenge achchha jaiye

    wasl ki kahta hun jab 'gauhar' se main

    hans ke kahte hain ki munh banwaiye

    Source:

    Pathan Shayraat ka Tazkira (Pg. 204)

    • Author: Khan Mohammad Atif
      • Edition: 1983
      • Publisher: Khan Mohammad Atif
      • Year of Publication: 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now