Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj aae hain kal jaana hai phir ishq ko ruswa kaun kare

Saeed Shahidi

aaj aae hain kal jaana hai phir ishq ko ruswa kaun kare

Saeed Shahidi

MORE BYSaeed Shahidi

    aaj aa.e haiñ kal jaanā hai phir ishq ko rusvā kaun kare

    do-roza duniyā hai ye to duniyā tamannā kaun kare

    majbūr nahīñ muḳhtār sahī ḳhuddārī ko rusvā kaun kare

    jab maut māñge se na milī jiine tamannā kaun kare

    us lazzat-e-ġham kyā kahnā vo yaad to aate rahte haiñ

    ġham dene vaale ke sadqe ab ġham mudāvā kaun kare

    bar aa.e tamannā jab na koī phir aisī tamannā se hāsil

    go dil taqāza laakh sahī tauhīn-e-tamannā kaun kare

    hoñToñ pe hañsī āñkhoñ meñ namī māthe pe shikan bal abrū meñ

    allāh tarz-e-pursish-e-ġham ab ġham shikva kaun kare

    maḳhmūr fazā mastāna ghaTā sāġhar khanak ġhunchoñ chaTak

    ab aise mausam meñ saaqī andesha-e-fardā kaun kare

    kyoñ apne nasheman ko ḳhud ab aag lagā deñ ham na 'sa.īd'

    bijlī shikāyat kaun kare āñdhī shikva kaun kare

    aaj aae hain kal jaana hai phir ishq ko ruswa kaun kare

    do-roza duniya hai ye to duniya ki tamanna kaun kare

    majbur nahin muKHtar sahi KHuddari ko ruswa kaun kare

    jab maut hi mange se na mili jine ki tamanna kaun kare

    us lazzat-e-gham ka kya kahna wo yaad to aate rahte hain

    gham dene wale ke sadqe ab gham ka mudawa kaun kare

    bar aae tamanna jab na koi phir aisi tamanna se hasil

    go dil ka taqaza lakh sahi tauhin-e-tamanna kaun kare

    honTon pe hansi aankhon mein nami mathe pe shikan bal abru mein

    allah ri tarz-e-pursish-e-gham ab gham ka shikwa kaun kare

    maKHmur faza mastana ghaTa saghar ki khanak ghunchon ki chaTak

    ab aise mausam mein saqi andesha-e-farda kaun kare

    kyon apne nasheman ko KHud hi ab aag laga den hum na 'said'

    bijli ki shikayat kaun kare aandhi ka shikwa kaun kare

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now