aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj baam-e-harf par imkan bhar main bhi to hun

Irfan Sattar

aaj baam-e-harf par imkan bhar main bhi to hun

Irfan Sattar

MORE BYIrfan Sattar

    aaj bām-e-harf par imkān bhar maiñ bhī to huuñ

    merī jānib ik nazar ai dīda-var maiñ bhī to huuñ

    be-amāñ saa.e bhī rakh bād-e-vahshat kuchh ḳhayāl

    dekh kar chal darmiyān-e-bām-o-dar maiñ bhī to huuñ

    raat ke pichhle pahar pur-shor sannāToñ ke biich

    akelī to nahīñ ai chashm-e-tar maiñ bhī to huuñ

    agar merī talab meñ phir rahā hai dar-ba-dar

    apnī ḳhātir sahī par dar-ba-dar maiñ bhī to huuñ

    terī is tasvīr meñ manzar mukammal kyuuñ nahīñ

    maiñ kahāñ huuñ ye batā ai naqsh-gar maiñ bhī to huuñ

    sun asīr-e-ḳhush-adā.ī muntashir nahīñ

    maiñ jo ḳhush-atvār huuñ zer-o-zabar maiñ bhī to huuñ

    ḳhud-pasandī merī fitrat bhī vasf-e-ḳhās hai

    be-ḳhabar nahīñ hai be-ḳhabar maiñ bhī to huuñ

    dekhtī hai juuñ paspā.ī pe āmāda mujhe

    ruuh kahtī hai badan se be-hunar maiñ bhī to huuñ

    dasht-e-hairat ke safar meñ kab tujhe tanhā kiyā

    ai junūñ maiñ bhī to huuñ ai ham-safar maiñ bhī to huuñ

    kūza-gar be-sūratī sairāb hone nahīñ

    ab mujhe bhī shakl de is chaak par maiñ bhī to huuñ

    yuuñ sadā detā hai aksar koī mujh meñ se mujhe

    tujh ko ḳhush rakkhe ḳhudā yūñhī magar maiñ bhī to huuñ

    aaj baam-e-harf par imkan bhar main bhi to hun

    meri jaanib ek nazar ai dida-war main bhi to hun

    be-aman sae ka bhi rakh baad-e-wahshat kuchh KHayal

    dekh kar chal darmiyan-e-baam-o-dar main bhi to hun

    raat ke pichhle pahar pur-shor sannaTon ke bich

    tu akeli to nahin ai chashm-e-tar main bhi to hun

    tu agar meri talab mein phir raha hai dar-ba-dar

    apni KHatir hi sahi par dar-ba-dar main bhi to hun

    teri is taswir mein manzar mukammal kyun nahin

    main kahan hun ye bata ai naqsh-gar main bhi to hun

    sun asir-e-KHush-adai muntashir tu hi nahin

    main jo KHush-atwar hun zer-o-zabar main bhi to hun

    KHud-pasandi meri fitrat ka bhi wasf-e-KHas hai

    be-KHabar tu hi nahin hai be-KHabar main bhi to hun

    dekhti hai jun hi paspai pe aamada mujhe

    ruh kahti hai badan se be-hunar main bhi to hun

    dasht-e-hairat ke safar mein kab tujhe tanha kiya

    ai junun main bhi to hun ai ham-safar main bhi to hun

    kuza-gar be-surati sairab hone ki nahin

    ab mujhe bhi shakl de is chaak par main bhi to hun

    yun sada deta hai aksar koi mujh mein se mujhe

    tujh ko KHush rakkhe KHuda yunhi magar main bhi to hun

    Source:

    Takrar-e-saa.at (Pg. 31)

    • Author: Irfan Sattar
      • Edition: 2016
      • Publisher: Dehleez Publication
      • Year of Publication: 2016
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now