Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj dil hai ki sar-e-sham bujha lagta hai

Ezaz Afzal

aaj dil hai ki sar-e-sham bujha lagta hai

Ezaz Afzal

MORE BYEzaz Afzal

    aaj dil hai ki sar-e-shām bujhā lagtā hai

    ye añdhere musāfir bhī thakā lagtā hai

    apne bahke hue dāman ḳhabar na ga.ī

    jis ko dekho charāġhoñ se ḳhafā lagtā hai

    baaġh phuul nahīñ lāla-e-sahrā huuñ maiñ

    jhoñkā bhī mujhe bād-e-sabā lagtā hai

    tañgī-e-zarf-e-nazar kasrat-e-nazzāra-e-dahar

    pyaas kachchī ho to har jaam bharā lagtā hai

    kis takalluf se girah khol rahā huuñ dil

    uqda-e-dard tirā band-e-qabā lagtā hai

    ḳhār-zāroñ ko sikhā de na gulistāñ chalan

    ye musāfir to koī ābla-pā lagtā hai

    dekh rauzan-e-zindāñ se zarā sū-e-chaman

    aaj kyuuñ dil har ik zaḳhm harā lagtā hai

    kaun 'afzal' ke sivā aisī ġhazal chheḌegā

    dosto ye vahī āshufta-navā lagtā hai

    aaj dil hai ki sar-e-sham bujha lagta hai

    ye andhere ka musafir bhi thaka lagta hai

    apne bahke hue daman ki KHabar li na gai

    jis ko dekho charaghon se KHafa lagta hai

    bagh ka phul nahin lala-e-sahra hun main

    lu ka jhonka bhi mujhe baad-e-saba lagta hai

    tangi-e-zarf-e-nazar kasrat-e-nazzara-e-dahar

    pyas kachchi ho to har jam bhara lagta hai

    kis takalluf se girah khol raha hun dil ki

    uqda-e-dard tera band-e-qaba lagta hai

    KHar-zaron ko sikha de na gulistan ka chalan

    ye musafir to koi aabla-pa lagta hai

    dekh tu rauzan-e-zindan se zara su-e-chaman

    aaj kyun dil ka har ek zaKHm hara lagta hai

    kaun 'afzal' ke siwa aisi ghazal chheDega

    dosto ye wahi aashufta-nawa lagta hai

    Source:

    Kalam-e-aizaz afzal (Pg. 165)

    • Author: Aizaz Afzal
      • Publisher: Usmania Book Depot
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now