Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj fursat hai to kuchh der Thahar dekh mujhe

Nabil

aaj fursat hai to kuchh der Thahar dekh mujhe

Nabil

MORE BYNabil

    aaj fursat hai to kuchh der Thahar dekh mujhe

    mujh pe bhī Daal zarā ek nazar dekh mujhe

    mere shāne pe tirā sar kabhī hogā tab tak

    rakh ke shāne pe sahelī ke sar dekh mujhe

    tā-qayāmat maiñ jagah se na hilūñgā apnī

    tā-qayāmat mujhe dekh magar dekh mujhe

    jaane kab samjhegī maiñ tirī manzil huuñ

    marhaloñ se mirī jaan ubhar dekh mujhe

    'tāj' kahtā hai mohabbat ke har ik maare se

    maiñ tasavvur huuñ kisī aur par dekh mujhe

    dekh mujh ko ki tujhe dikhā.ī degā

    tujh pe bhī ho ke rahegā ye asar dekh mujhe

    aaj fursat hai to kuchh der Thahar dekh mujhe

    mujh pe bhi Dal zara ek nazar dekh mujhe

    mere shane pe tera sar kabhi hoga tab tak

    rakh ke shane pe saheli ke hi sar dekh mujhe

    ta-qayamat main jagah se na hilunga apni

    ta-qayamat tu mujhe dekh magar dekh mujhe

    jaane kab samjhegi tu main hi teri manzil hun

    marhalon se tu meri jaan ubhar dekh mujhe

    'taj' kahta hai mohabbat ke har ek mare se

    main tasawwur hun kisi aur ka par dekh mujhe

    dekh mujh ko ki tujhe tu hi dikhai dega

    tujh pe bhi ho ke rahega ye asar dekh mujhe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now