Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj hum isko laDa denge tere tir ke sath

Nadir Kakorvi

aaj hum isko laDa denge tere tir ke sath

Nadir Kakorvi

MORE BYNadir Kakorvi

    aaj ham is ko laḌā deñge tire tiir ke saath

    aah bhī tiir hai gar aah ho tāsīr ke saath

    fikr-e-uqbā bhī rahe rif.at-o-tauqīr ke saath

    qabr ta.amīr ho har qasr ta.amīr ke saath

    ab kisī fitna-e-mahshar ke baneñge shāgird

    ham bhī ab chaal chaleñge falak-e-pīr ke saath

    dil parī-ḳhāna banā aks-e-parī-paikar se

    uḌ chalā saarā makāñ ek tasvīr ke saath

    rang-o-roġhan ke pas-e-parda hai saada kāġhaz

    shakl-e-pīrī bhī javānī hai tasvīr ke saath

    maiñ ḳhatāvār huuñ us vaqt jab ai dāvar-e-hashr

    merī niyyat bhī ho sābit mirī taqsīr ke saath

    tum milte nahīñ lekin ḳhat-e-qismat merā

    miltā-jultā hai tumhāre ḳhat-e-taqdīr ke saath

    ġhair ke dil meñ na rah jaa.e kahīñ tiir us

    us ne jab tiir chalāyā maiñ uḌā tiir ke saath

    kahte haiñ aah tirī ban ga.ī bijlī kyūñkar

    mire saath chalī mirī shamshīr ke saath

    ye mirā nāma-e-a.amāl hai ai dāvar-e-hashr

    ise dekh milā kar ḳhat-e-taqdīr ke saath

    aaj hum is ko laDa denge tere tir ke sath

    aah bhi tir hai gar aah ho tasir ke sath

    fikr-e-uqba bhi rahe rifat-o-tauqir ke sath

    qabr tamir ho har qasr ki tamir ke sath

    ab kisi fitna-e-mahshar ke banenge shagird

    hum bhi ab chaal chalenge falak-e-pir ke sath

    dil pari-KHana bana aks-e-pari-paikar se

    uD chala sara makan ek hi taswir ke sath

    rang-o-roghan ke pas-e-parda hai sada kaghaz

    shakl-e-piri bhi jawani ki hai taswir ke sath

    main KHatawar hun us waqt jab ai dawar-e-hashr

    meri niyyat bhi ho sabit meri taqsir ke sath

    tum hi milte nahin lekin KHat-e-qismat mera

    milta-julta hai tumhaare KHat-e-taqdir ke sath

    ghair ke dil mein na rah jae kahin tir us ka

    us ne jab tir chalaya main uDa tir ke sath

    kahte hain aah teri ban gai bijli kyunkar

    ya mere sath chali ya meri shamshir ke sath

    ye mera nama-e-amal hai ai dawar-e-hashr

    tu ise dekh mila kar KHat-e-taqdir ke sath

    Source:

    Jazbat-e-Nadir (Pg. 272)

    • Author: Nadir Kakorvi
      • Publisher: Urdu academy Sindh, Karachi
      • Year of Publication: 1961
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now