aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj itna jalao ki pighal jae mera jism

Tanveer Sipra

aaj itna jalao ki pighal jae mera jism

Tanveer Sipra

MORE BYTanveer Sipra

    aaj itnā jalāo ki pighal jaa.e mirā jism

    shāyad isī sūrat sukūñ paa.e mirā jism

    āġhosh meñ le kar mujhe is zor se bheñcho!

    shīshe tarah chhan se chaTaḳh jaa.e mirā jism

    da.ava-e-mahtāb-e-tajallī na kare vo

    nuur kirnoñ se vo nahlā.e mirā jism

    kis shahr-e-tilismāt meñ le aayā taḳhayyul

    jis samt nazar jaa.e nazar aa.e mirā jism

    ā.īne sūrat meñ mirī zaat ke do ruḳh

    jaañ mahv-e-fuġhāñ hai to ġhazal gaa.e mirā jism

    'tanvīr' paḌho ism koī radd-e-balā

    ghere meñ liye baiThe haiñ kuchh saa.e mirā jism

    aaj itna jalao ki pighal jae mera jism

    shayad isi surat hi sukun pae mera jism

    aaghosh mein le kar mujhe is zor se bhencho!

    shishe ki tarah chhan se chaTaKH jae mera jism

    ya dawa-e-mahtab-e-tajalli na kare wo

    ya nur ki kirnon se wo nahlae mera jism

    kis shahr-e-tilismat mein le aaya taKHayyul

    jis samt nazar jae nazar aae mera jism

    aaine ki surat mein meri zat ke do ruKH

    jaan mahw-e-fughan hai to ghazal gae mera jism

    'tanwir' paDho ism koi radd-e-bala ka

    ghere mein liye baiThe hain kuchh sae mera jism

    Source:

    Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 66)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now