Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj jine ki kuchh ummid nazar aai hai

Shamim Jaipuri

aaj jine ki kuchh ummid nazar aai hai

Shamim Jaipuri

MORE BYShamim Jaipuri

    aaj jiine kuchh ummīd nazar aa.ī hai

    muddatoñ ba.ad tirī rāhguzar aa.ī hai

    zindagī koī ehsās baaqī na rahā

    zindagī le ke mujhe aaj kidhar aa.ī hai

    aap dekheñ to zarā ḳhūn-e-tamannā bahār

    kitnī surḳhī mirī āñkhoñ meñ utar aa.ī hai

    kis ke pairāhan-e-rañgīñ mahak hai is meñ

    aaj ye bād-e-sabā ho ke kidhar aa.ī hai

    ne ḳhud tark-e-mohabbat qasam khaa.ī thī

    kyuuñ tirī aañkh mujhe dekh ke bhar aa.ī hai

    ab kisī jalva-e-rañgīñ se mujhe kaam nahīñ

    un tasvīr mire dil meñ utar aa.ī hai

    is meñ kuchh un jafā.eñ bhī to shāmil haiñ 'shamīm'

    bevafā.ī jo tohmat mire sar aa.ī hai

    aaj jine ki kuchh ummid nazar aai hai

    muddaton baad teri rahguzar aai hai

    zindagi ka koi ehsas hi baqi na raha

    zindagi le ke mujhe aaj kidhar aai hai

    aap dekhen to zara KHun-e-tamanna ki bahaar

    kitni surKHi meri aankhon mein utar aai hai

    kis ke pairahan-e-rangin ki mahak hai is mein

    aaj ye baad-e-saba ho ke kidhar aai hai

    tu ne KHud tark-e-mohabbat ki qasam khai thi

    kyun teri aankh mujhe dekh ke bhar aai hai

    ab kisi jalwa-e-rangin se mujhe kaam nahin

    un ki taswir mere dil mein utar aai hai

    is mein kuchh un ki jafaen bhi to shamil hain 'shamim'

    bewafai ki jo tohmat mere sar aai hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now