Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj kal bhes mein leader ke hai shaitan samjha

Hashim Azimabadi

aaj kal bhes mein leader ke hai shaitan samjha

Hashim Azimabadi

MORE BYHashim Azimabadi

    aaj kal bhes meñ leader ke hai shaitāñ samjhā

    magar is bhed ko hindū na musalmāñ samjhā

    pairahan jism ke ham-rañg thā us ke itnā

    koī malbūs use samjhā koī uryāñ samjhā

    gar yahī qadr-e-suḳhan hai to suḳhan par la.anat

    ek qavvāl ko shā.ir-e-daurāñ samjhā

    ban ke mehmāñ jo gayā ho gayā juutā ġhā.eb

    mezbānī ke na is raaz ko mehmāñ samjhā

    jab us shoḳh ne pūchhā ki taḳhallus kyā hai

    dekh kar shakl mirī mujh ko ġhazal-ḳhvāñ samjhā

    baap thā us khaḌā dar pe magar ḳhair huī

    ya.anī vo mujh ko gadā maiñ use darbāñ samjhā

    us ke āñchal meñ ghusā thā koī jugnū 'hāshim'

    aur maiñ us ko charāġh-e-tah-e-dāmāñ samjhā

    aaj kal bhes mein leader ke hai shaitan samjha

    magar is bhed ko hindu na musalman samjha

    pairahan jism ke ham-rang tha us ke itna

    koi malbus use samjha koi uryan samjha

    gar yahi qadr-e-suKHan hai to suKHan par lanat

    ek qawwal ko tu shair-e-dauran samjha

    ban ke mehman jo gaya ho gaya juta ghaeb

    mezbani ke na is raaz ko mehman samjha

    jab hi us shoKH ne puchha ki taKHallus kya hai

    dekh kar shakl meri mujh ko ghazal-KHwan samjha

    bap tha us ka khaDa dar pe magar KHair hui

    yani wo mujh ko gada main use darban samjha

    us ke aanchal mein ghusa tha koi jugnu 'hashim'

    aur main us ko charagh-e-tah-e-daman samjha

    Source:

    Andaz-e-Bayan Aur (Pg. 46)

    • Author: Hashim Azimabadi
      • Publisher: Bihar Urdu Academy, Patna
      • Year of Publication: 1982
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now