aaj Khaali gilas hai mera
aaj ḳhālī gilās hai merā
is liye dil udaas hai merā
fā.eda kyā harām-noshī se
jab muqaddar hī pyaas hai merā
aa.ina dekh kar huā ehsās
ġham-gusār ek paas hai merā
jaan letā hai be-kahe sab kuchh
vo qayāfa-shanās hai merā
jo kahūñ maiñ vo sun liyā kiije
ek hī iltimās hai merā
kuchh nahīñ vo ba-juz qayās 'shu'ūr'
aur ye bhī qayās hai merā
aaj KHali gilas hai mera
is liye dil udas hai mera
faeda kya haram-noshi se
jab muqaddar hi pyas hai mera
aaina dekh kar hua ehsas
gham-gusar ek pas hai mera
jaan leta hai be-kahe sab kuchh
wo qayafa-shanas hai mera
jo kahun main wo sun liya kije
ek hi iltimas hai mera
kuchh nahin wo ba-juz qayas 'shu'ur'
aur ye bhi qayas hai mera
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 105)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.