aaj khiDki se jo bahar dekha
aaj khiḌkī se jo bāhar dekhā
apne saa.e ko saḌak par dekhā
ḳhāmushī chhā.ī thī galiyoñ galiyoñ
aur kohrām sā ghar ghar dekhā
yuuñ to har shaḳhs ko muḳhlis paayā
vaise har haath meñ patthar dekhā
kaun ruktā hai kisī kī ḳhātir
kis ne raste meñ palaT kar dekhā
ek uḌte hue patte kī tarah
ḳhud ko lamhāt kī zad par dekhā
ham ne jis aañkh meñ jhāñkā 'sarvat'
ek ḳhvāboñ kā samundar dekhā
aaj khiDki se jo bahar dekha
apne sae ko saDak par dekha
KHamushi chhai thi galiyon galiyon
aur kohram sa ghar ghar dekha
yun to har shaKHs ko muKHlis paya
waise har hath mein patthar dekha
kaun rukta hai kisi ki KHatir
kis ne raste mein palaT kar dekha
ek uDte hue patte ki tarah
KHud ko lamhat ki zad par dekha
hum ne jis aankh mein jhanka 'sarwat'
ek KHwabon ka samundar dekha
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 88)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.