Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj ki kya fikr ho kya kal ka andesha karen

Hamid Allahabadi

aaj ki kya fikr ho kya kal ka andesha karen

Hamid Allahabadi

MORE BYHamid Allahabadi

    aaj kyā fikr ho kyā kal andesha kareñ

    hai yahī jiinā to is jiine pe kyā takiya kareñ

    ḳhār-hā-e-rāh ko pairoñ se kab tak rauñdiye

    tā-ba-ke ḳhush-fahmiyoñ ko nazr-e-ā.inda kareñ

    un ahd-e-hukmrānī kho chukā apnā bharam

    kāvisheñ apnī vo har har moḌ par kanda kareñ

    mauritius meñ ahl-e-dil shān-e-dildārī na pūchh

    jaan se apnoñ ko māreñ ġhair ko zinda kareñ

    kah ga.e hoñge surūr-angez lai meñ kuchh se kuchh

    kyā zarūrī hai ki vo puurā bhī ab va.ada kareñ

    bandagī aisī bhī kyā jis meñ ḳhulūs-e-dil na ho

    ḳhvāhish-e-jannat meñ kyoñ sajdoñ ko ālūda kareñ

    muntazir haiñ jaane kab se un ke mushtāqān-e-dīd

    āte-jāte vo kahīñ mil jaa.eñ to sajda kareñ

    un pareshāñ-hāl chehroñ udāsī kyā kahūñ

    jāñ-fishānī kar ke din shab ko jo faaqa kareñ

    ḳhud pukār uTThegī har chashm-e-tajassus āfrīñ

    munkashif kyūñkar ham un ke rāz-e-sar-basta kareñ

    bā-farāġhat zindagī hai ye shart-e-avvalīñ

    ik barahman-zād ko ham roz-o-shab sajda kareñ

    aaj ki kya fikr ho kya kal ka andesha karen

    hai yahi jina to is jine pe kya takiya karen

    KHar-ha-e-rah ko pairon se kab tak raundiye

    ta-ba-ke KHush-fahmiyon ko nazr-e-ainda karen

    un ka ahd-e-hukmrani kho chuka apna bharam

    kawishen apni wo har har moD par kanda karen

    mauritius mein ahl-e-dil ki shan-e-dildari na puchh

    jaan se apnon ko maren ghair ko zinda karen

    kah gae honge surur-angez lai mein kuchh se kuchh

    kya zaruri hai ki wo pura bhi ab wada karen

    bandagi aisi bhi kya jis mein KHulus-e-dil na ho

    KHwahish-e-jannat mein kyon sajdon ko aaluda karen

    muntazir hain jaane kab se un ke mushtaqan-e-did

    aate-jate wo kahin mil jaen to sajda karen

    un pareshan-haal chehron ki udasi kya kahun

    jaan-fishani kar ke din ki shab ko jo faqa karen

    KHud pukar uTThegi har chashm-e-tajassus aafrin

    munkashif kyunkar hum un ke raaz-e-sar-basta karen

    ba-faraghat zindagi ki hai ye shart-e-awwalin

    ek barahman-zad ko hum roz-o-shab sajda karen

    Source:

    Faseel-e-Shab (Pg. 84)

    • Author: Hamid Allahabadi
      • Publisher: Hamid Allahabadi
      • Year of Publication: 1988
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now