Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj maqtal ko sajaya ja raha hai

Asad Raza Sahar

aaj maqtal ko sajaya ja raha hai

Asad Raza Sahar

MORE BYAsad Raza Sahar

    aaj maqtal ko sajāyā rahā hai

    ḳhūn-e-nāhaq bhī bahāyā rahā hai

    raqs karne ke liye kuchh laḌkiyoñ ko

    baarī baarī bulāyā rahā hai

    jis ne kalima paḌh liyā thā āḳhirī dam

    is lāsha kyuuñ jalāyā rahā hai

    us ke lahje meñ ra.ūnat to nahīñ hai

    us ko nazroñ se girāyā rahā hai

    ghar to ḳhālī hai guzishta ek maah se

    mere hāthoñ se karāyā rahā hai

    mann-o-salvā se bahut aage hai ye

    karbalā lañgar jo khāyā rahā hai

    do haiñ shā.ir sirf cigarette ek hai

    baarī baarī kash lagā rahā hai

    aap mujh se jo rishta hai use

    kitnī diqqat se nibhāyā rahā hai

    aaj maqtal ko sajaya ja raha hai

    KHun-e-nahaq bhi bahaya ja raha hai

    raqs karne ke liye kuchh laDkiyon ko

    bari bari hi bulaya ja raha hai

    jis ne kalima paDh liya tha aaKHiri dam

    is ka lasha kyun jalaya ja raha hai

    us ke lahje mein raunat to nahin hai

    us ko nazron se giraya ja raha hai

    ghar to KHali hai guzishta ek mah se

    mere hathon se karaya ja raha hai

    mann-o-salwa se bahut aage hai ye

    karbala langar jo khaya ja raha hai

    do hain shair sirf cigarette ek hai

    bari bari kash laga ya ja raha hai

    aap ka mujh se jo rishta hai use

    kitni diqqat se nibhaya ja raha hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now