Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj muqabla hai saKHt mir-e-sipah ke liye

Aziz Hamid Madni

aaj muqabla hai saKHt mir-e-sipah ke liye

Aziz Hamid Madni

MORE BYAziz Hamid Madni

    aaj muqābla hai saḳht mīr-e-sipāh ke liye

    ho ga.e sar ka.ī qalam ek kulāh ke liye

    tāza-ruḳhī-e-kā.enāt DhūñD rahī hai aa.ina

    justujū hai hazār meñ ek gavāh ke liye

    khul gayā tilism-e-dost ain visāl meñ ki thī

    ik shab-e-hijr zindagī lazzat-e-āh ke liye

    ik shab-e-ḳhud-numā.ī meñ ismat-e-be-maqām ne

    kitne savāl kar liye ramz-e-gunāh ke liye

    sūrat-e-gard-e-kārvāñ hai ġham-e-manzil-e-jahāñ

    ḳhvāb-e-junūn-e-tāza-kār chāhiye raah ke liye

    ātish-e-kīmiyā-garāñ kaam na aa sakī koī

    surma hai ḳhāk-e-dil mirī chashm-e-siyāh ke liye

    merī ḳhud-āgahī bhī tere visāl ne talab

    hijr-e-hazār-shab ke ba.ad ek gunāh ke liye

    aaj muqabla hai saKHt mir-e-sipah ke liye

    ho gae sar kai qalam ek kulah ke liye

    taza-ruKHi-e-kaenat DhunD rahi hai aaina

    justuju hai hazar mein ek gawah ke liye

    khul hi gaya tilism-e-dost ain visal mein ki thi

    ek shab-e-hijr zindagi lazzat-e-ah ke liye

    ek shab-e-KHud-numai mein ismat-e-be-maqam ne

    kitne sawal kar liye ramz-e-gunah ke liye

    surat-e-gard-e-karwan hai gham-e-manzil-e-jahan

    KHwab-e-junun-e-taza-kar chahiye rah ke liye

    aatish-e-kimiya-garan kaam na aa saki koi

    surma hai KHak-e-dil meri chashm-e-siyah ke liye

    meri KHud-agahi bhi ki tere visal ne talab

    hijr-e-hazar-shab ke baad ek gunah ke liye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now