Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj o nala sharar-bar ho tasir ke sath

Nadir Kakorvi

aaj o nala sharar-bar ho tasir ke sath

Nadir Kakorvi

MORE BYNadir Kakorvi

    aaj o naala sharar-bār ho tāsīr ke saath

    ham ne maidān badā hai falak-e-pīr ke saath

    dekhnā ye hai ki mai-ḳhāne se nikle kyūñ-kar

    shaiḳh aa.e to baḌī izzat-o-tauqīr ke saath

    aap ne de ke sazā aur baḌhā jur.at

    ḳhauf-e-ta.azīr bhī dil se gayā ta.azīr ke saath

    dil ko is darja tirī zulf se raġhbat kyoñ hai

    kyoñ nahīñ us ko mire paañv zanjīr ke saath

    saath zinda-dilī ke gayā dil bhī apnā

    sham.a mahfil se ga.ī sham.a tanvīr ke saath

    aks lene meñ uThā dete haiñ mujh ko ki nahīñ

    merī tasvīr bhī khiñch jaa.e na tasvīr ke saath

    dasht-e-vahshat meñ bagūloñ tamāshā aahā

    naach un vo mire naġhma-e-zanjīr ke saath

    jaane kis jaal meñ kam-baḳht rahā us meñ asiir

    paḌ ga.ī dil meñ girah zulf-e-girah-gīr ke saath

    pairvī hai usī marhūm 'nādir' varna

    shā.erī kahte haiñ jis ko vo ga.ī 'mīr' ke saath

    aaj o nala sharar-bar ho tasir ke sath

    hum ne maidan bada hai falak-e-pir ke sath

    dekhna ye hai ki mai-KHane se nikle kyun-kar

    shaiKH aae to baDi izzat-o-tauqir ke sath

    aap ne de ke saza aur baDha di jurat

    KHauf-e-tazir bhi dil se gaya tazir ke sath

    dil ko is darja teri zulf se raghbat kyon hai

    kyon nahin us ko mere panw ki zanjir ke sath

    sath hi zinda-dili ke gaya dil bhi apna

    shama mahfil se gai shama ki tanwir ke sath

    aks lene mein uTha dete hain mujh ko ki nahin

    meri taswir bhi khinch jae na taswir ke sath

    dasht-e-wahshat mein bagulon ka tamasha aaha

    nach un ka wo mere naghma-e-zanjir ke sath

    jaane kis jal mein kam-baKHt raha us mein asir

    paD gai dil mein girah zulf-e-girah-gir ke sath

    pairwi hai usi marhum ki 'nadir' warna

    shaeri kahte hain jis ko wo gai 'mir' ke sath

    Source:

    Jazbat-e-Nadir (Pg. 274)

    • Author: Nadir Kakorvi
      • Publisher: Urdu academy Sindh, Karachi
      • Year of Publication: 1961
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now