aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj tak uski mohabbat ka nasha tari hai

Shahzad Ahmad

aaj tak uski mohabbat ka nasha tari hai

Shahzad Ahmad

MORE BYShahzad Ahmad

    aaj tak us mohabbat nasha taarī hai

    phuul baaqī nahīñ ḳhushbū safar jaarī hai

    sehr lagtā hai pasīne meñ nahāyā huā jism

    ye ajab niiñd meñ Duubī huī bedārī hai

    aaj phuul tirī kokh se zāhir hogā

    shāḳh-e-dil ḳhushk na ho ab ke tirī baaī hai

    dhyān bhī us hai milte bhī nahīñ haiñ us se

    jism se bair hai saa.e se vafā-dārī hai

    dil ko tanhā.ī ehsās bhī baaqī na rahā

    vo bhī dhundlā ga.ī jo shakl bahut pyārī hai

    is tag-o-tāz meñ TuuTe haiñ sitāre kitne

    āsmāñ jiit sakā hai na zamīñ haarī hai

    koī aayā hai zarā aañkh to kholo 'shahzād'

    abhī jaage the abhī sone tayyārī hai

    aaj tak us ki mohabbat ka nasha tari hai

    phul baqi nahin KHushbu ka safar jari hai

    sehr lagta hai pasine mein nahaya hua jism

    ye ajab nind mein Dubi hui bedari hai

    aaj ka phul teri kokh se zahir hoga

    shaKH-e-dil KHushk na ho ab ke teri bai hai

    dhyan bhi us ka hai milte bhi nahin hain us se

    jism se bair hai sae se wafa-dari hai

    dil ko tanhai ka ehsas bhi baqi na raha

    wo bhi dhundla gai jo shakl bahut pyari hai

    is tag-o-taz mein TuTe hain sitare kitne

    aasman jit saka hai na zamin haari hai

    koi aaya hai zara aankh to kholo 'shahzad'

    abhi jage the abhi sone ki tayyari hai

    Source:

    Deewar pe dastak (Pg. 867)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now