Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj ye sochne baiTha hun ki kal kya hoga

Hairat shimlavii

aaj ye sochne baiTha hun ki kal kya hoga

Hairat shimlavii

MORE BYHairat shimlavii

    aaj ye sochne baiThā huuñ ki kal kyā hogā

    is se baḌh kar bhī kisī sar meñ ḳhalal kyā hogā

    aaj kuchh hai to sahī haal kisī behtar

    ye ḳhudā ko hai mālūm ki kal kyā hogā

    kaam baat hai kahne ko to kah duuñ lekin

    fikr jab nahīñ koī to amal kyā hogā

    ek din us mohabbat meñ fanā ho jaanā

    aur is uqda-e-dushvār hal kyā hogā

    ye ġham-o-rañj qismat meñ agar likkhā hai

    is meñ tadbīr se bhī radd-o-badal kyā hogā

    jis meñ ik soz bhī ho saaz bhī ho ai 'hairat'

    is se baḌh kar koī andāz-e-ġhazal kyā hogā

    aaj ye sochne baiTha hun ki kal kya hoga

    is se baDh kar bhi kisi sar mein KHalal kya hoga

    aaj kuchh hai to sahi haal kisi ka behtar

    ye KHuda hi ko hai malum ki kal kya hoga

    kaam ki baat hai kahne ko to kah dun lekin

    fikr hi jab nahin koi to amal kya hoga

    ek din us ki mohabbat mein fana ho jaana

    aur is uqda-e-dushwar ka hal kya hoga

    ye gham-o-ranj hi qismat mein agar likkha hai

    is mein tadbir se bhi radd-o-badal kya hoga

    jis mein ek soz bhi ho saz bhi ho ai 'hairat'

    is se baDh kar koi andaz-e-ghazal kya hoga

    Source:

    Aaina-e-Hairat (Pg. 53)

    • Author: Hairat shimlavii
      • Publisher: Maktaba Al-Hasanat, Rampur, U.P.
      • Year of Publication: 1962
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now