Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aakar kisi ne KHwab mein jalwa dikha diya

Ahmad Armani

aakar kisi ne KHwab mein jalwa dikha diya

Ahmad Armani

MORE BYAhmad Armani

    aakar kisī ne ḳhvāb meñ jalva dikhā diyā

    muusā tarah mujh ko bhī be-ḳhud banā diyā

    ik tīr-e-nāz chupke se dil par chalā diyā

    jaane kis ne ḳhūn-e-tamannā bahā diyā

    is tarah maiñ ne hai adā rasm ishq

    mehmāñ banā ke ġham ko kaleja khilā diyā

    aadam ik fuġhāñ se larazne lagī zamīñ

    jab aah to arsh-e-mua.allā hilā diyā

    'ahmad' use surāhī-o-sāġhar se kyā ġharaz

    saaqī ne jis ko apnī nazar se pilā diyā

    aakar kisi ne KHwab mein jalwa dikha diya

    musa ki tarah mujh ko bhi be-KHud bana diya

    ek tir-e-naz chupke se dil par chala diya

    ya jaane kis ne KHun-e-tamanna baha diya

    is tarah main ne ki hai ada rasm ishq ki

    mehman bana ke gham ko kaleja khila diya

    aadam ki ek fughan se larazne lagi zamin

    jab aah ki to arsh-e-mualla hila diya

    'ahmad' use surahi-o-saghar se kya gharaz

    saqi ne jis ko apni nazar se pila diya

    Source:

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now