Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaKHir dil ki purani lagan kar ke hi rahegi faqir hamein

Mukhtar Siddiqui

aaKHir dil ki purani lagan kar ke hi rahegi faqir hamein

Mukhtar Siddiqui

MORE BYMukhtar Siddiqui

    āḳhir dil purānī lagan kar ke rahegī faqīr hameñ

    har rut aate jaate paa.e ek shai asiir hameñ

    dhuum machā.e bahār kabhī aur paat hare kabhī piile hoñ

    har nairañgī-e-qudrat dekhe yaksāñ dil-gīr hameñ

    kyā kyā pukāreñ sisaktī dekhīñ lafzoñ ke zindānoñ meñ

    chup talqīn kare hai ġhairat-mañd zamīr hameñ

    jin halkī gahrī talḳhī ḳhuun meñ rach rach jaatī hai

    juzv-e-hayāt banāne paḌe haiñ vo ash.ār-e-'mīr' hameñ

    aaKHir dil ki purani lagan kar ke hi rahegi faqir hamein

    har rut aate jate pae ek hi shai ka asir hamein

    dhum machae bahaar kabhi aur pat hare kabhi pile hon

    har nairangi-e-qudrat dekhe yaksan hi dil-gir hamein

    kya kya pukaren sisakti dekhin lafzon ke zindanon mein

    chup hi ki talqin kare hai ghairat-mand zamir hamein

    jin ki halki gahri talKHi KHun mein rach rach jati hai

    juzw-e-hayat banane paDe hain wo ashaar-e-'mir' hamein

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 175)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now