Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaKHir-e-shab jo fazaon mein chhiDa hota hai

Badr Shamsi

aaKHir-e-shab jo fazaon mein chhiDa hota hai

Badr Shamsi

MORE BYBadr Shamsi

    āḳhir-e-shab jo fazāoñ meñ chhiḌā hotā hai

    vo bhī kyā naġhma-e-be-sāz-o-sadā hotā hai

    ham tirī bazm se uTThe to magar yuuñ uTThe

    jis tarah koī ḳhud apne se judā hotā hai

    kyā 'ajab shahr hai ye shahr-e-shanāsā.ī bhī

    jo bhī chehra nazar aatā hai nayā hotā hai

    tere hāthoñ mahak aatī hai un se aksar

    jin kitāboñ pe mirā naam likhā hotā hai

    vaqt dhuup meñ huuñ dasht-navard-e-hālāt

    apnā saaya bhī jahāñ qad se baḌā hotā hai

    mere dāman pe jise kahte haiñ sab dil lahū

    un ke hāthoñ meñ vahī rang-e-hinā hotā hai

    phir bahār aa.ī tirī yaad mausam aaya

    phir mire dil har ik zaḳhm harā hotā hai

    merī ḳhātir bhī zarā logoñ jānib dekho

    maiñ vo katba huuñ jo chehroñ pe likhā hotā hai

    'badr' yuuñ dil meñ hai ab zaḳhm-e-tamannā bahār

    shāḳh meñ jaise koī phuul khilā hotā hai

    aaKHir-e-shab jo fazaon mein chhiDa hota hai

    wo bhi kya naghma-e-be-saz-o-sada hota hai

    hum teri bazm se uTThe to magar yun uTThe

    jis tarah koi KHud apne se juda hota hai

    kya 'ajab shahr hai ye shahr-e-shanasai bhi

    jo bhi chehra nazar aata hai naya hota hai

    tere hathon ki mahak aati hai un se aksar

    jin kitabon pe mera nam likha hota hai

    waqt ki dhup mein hun dasht-naward-e-haalat

    apna saya bhi jahan qad se baDa hota hai

    mere daman pe jise kahte hain sab dil ka lahu

    un ke hathon mein wahi rang-e-hina hota hai

    phir bahaar aai teri yaad ka mausam aaya

    phir mere dil ka har ek zaKHm hara hota hai

    meri KHatir bhi zara logon ki jaanib dekho

    main wo katba hun jo chehron pe likha hota hai

    'badr' yun dil mein hai ab zaKHm-e-tamanna ki bahaar

    shaKH mein jaise koi phul khila hota hai

    Source:

    Khwabon Ka Lahu (Pg. 111)

    • Author: Badr Shamsi
      • Publisher: Badr Shamsi
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now