Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaKHir wo apne pyar ka izhaar kar gae

Johar Rana

aaKHir wo apne pyar ka izhaar kar gae

Johar Rana

MORE BYJohar Rana

    āḳhir vo apne pyaar iz.hār kar ga.e

    inkār kar rahe the jo iqrār kar ga.e

    chorī Dar nahīñ rahā dil ke makān meñ

    jab se khaḌī vafā vo dīvār kar ga.e

    un se mile na the to kabhī ham ġharīb the

    de kar matā-e-ishq vo zardār kar ga.e

    aa.e jo dil ḳharīdne bāzār-e-ishq meñ

    nīlām apnā dil sar-e-bāzār kar ga.e

    sad-āfrīñ ki so.e hue har javān ko

    'jauhar' kalīmī zarb se bedār kar ga.e

    aaKHir wo apne pyar ka izhaar kar gae

    inkar kar rahe the jo iqrar kar gae

    chori ka Dar nahin raha dil ke makan mein

    jab se khaDi wafa ki wo diwar kar gae

    un se mile na the to kabhi hum gharib the

    de kar mata-e-ishq wo zardar kar gae

    aae jo dil KHaridne bazar-e-ishq mein

    nilam apna dil sar-e-bazar kar gae

    sad-afrin ki soe hue har jawan ko

    'jauhar' kalimi zarb se bedar kar gae

    Source:

    Khule Qafas Ki Ghutan (Pg. 61)

    • Author: Johar Rana
      • Publisher: Gujarat Urdu Sahitya Academy, Gujarat
      • Year of Publication: 1996
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now