Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aalam-e-imkan mein duniya ki hawa thi main na tha

Qaisar Nizami

aalam-e-imkan mein duniya ki hawa thi main na tha

Qaisar Nizami

MORE BYQaisar Nizami

    ālam-e-imkāñ meñ duniyā havā thī maiñ na thā

    jalvā-ārā sirf zāt-e-kibriyā thī maiñ na thā

    kar diyā bedār jis ne sākinān-e-arsh ko

    vo kisī dard-āshnā dil sadā thī maiñ na thā

    muntashir jis ne kiyā thā un zulf-e-nāz ko

    sach agar pūchho to vo bād-e-sabā thī maiñ na thā

    khul gayā jo rāz-e-ulfat aaj ahl-e-bazm par

    ye tumhārī mast nazroñ ḳhatā thī maiñ na thā

    tañg aa kar gardish-e-ayyām se bahr-e-sujūd

    vo to merī zindagī vaqf-e-duā thī maiñ na thā

    had se jab 'qaisar' baḌhī un jafā-e-nā-ravā

    jo ba-rū-e-kār aa.ī vo vafā thī maiñ na thā

    aalam-e-imkan mein duniya ki hawa thi main na tha

    jalwa-ara sirf zat-e-kibriya thi main na tha

    kar diya bedar jis ne sakinan-e-arsh ko

    wo kisi dard-ashna dil ki sada thi main na tha

    muntashir jis ne kiya tha un ki zulf-e-naz ko

    sach agar puchho to wo baad-e-saba thi main na tha

    khul gaya jo raaz-e-ulfat aaj ahl-e-bazm par

    ye tumhaari mast nazron ki KHata thi main na tha

    tang aa kar gardish-e-ayyam se bahr-e-sujud

    wo to meri zindagi waqf-e-dua thi main na tha

    had se jab 'qaisar' baDhi un ki jafa-e-na-rawa

    jo ba-ru-e-kar aai wo wafa thi main na tha

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    aalam-e-imkan mein duniya ki hawa thi main na tha Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now