Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aalam-e-rang-o-naghma mein kaif bahut sahi magar

Syeda Akhtar

aalam-e-rang-o-naghma mein kaif bahut sahi magar

Syeda Akhtar

MORE BYSyeda Akhtar

    ālam-e-rañg-o-naġhma meñ kaif bahut sahī magar

    be-ḳhud-e-sair-e-kā.enāt apnī taraf bhī ik nazar

    un bhī aañkh ho ga.ī josh-e-alam se aaj tar

    maiñ ne uThā.ī kyoñ nigāh ālam-e-dard meñ udhar

    yuuñ na pahuñch sakegā un harīm-e-nāz meñ

    ishq teġh-e-tez se aql se pahle jang kar

    shakl-e-hasīñ dikhā.e parda-e-darmiyāñ uThā

    shauq mirā hai pārsā ishq mirā hai mo'atabar

    mere tamīz-e-shauq ko ek zamāna chāhiye

    terā lahū abhī hai sard merī navā hai garm-tar

    āh-e-sharāb-e-shauq kaif bahut ajiib hai

    vo haiñ ki mujh se be-niyāz aur maiñ un se be-ḳhabar

    terī fuġhāñ ne kar diyā sīna-e-gul ko chāk-chāk

    'aḳhtar'-e-ḳhush-navā ḳhamosh 'aḳhtar'-e-ḳhush-navā Thahar

    aalam-e-rang-o-naghma mein kaif bahut sahi magar

    be-KHud-e-sair-e-kaenat apni taraf bhi ek nazar

    un ki bhi aankh ho gai josh-e-alam se aaj tar

    main ne uThai kyon nigah aalam-e-dard mein udhar

    yun na pahunch sakega tu un ki harim-e-naz mein

    ishq ki tegh-e-tez se aql se pahle jang kar

    shakl-e-hasin dikhae ja parda-e-darmiyan uTha

    shauq mera hai parsa ishq mera hai mo'atabar

    mere tamiz-e-shauq ko ek zamana chahiye

    tera lahu abhi hai sard meri nawa hai garm-tar

    aah-e-sharab-e-shauq ka kaif bahut ajib hai

    wo hain ki mujh se be-niyaz aur main un se be-KHabar

    teri fughan ne kar diya sina-e-gul ko chaak-chaak

    'aKHtar'-e-KHush-nawa KHamosh 'aKHtar'-e-KHush-nawa Thahar

    Source:

    Tazkira-e-Shairat-e-Urdu (Pg. 227)

    • Author: Mohammad Jameel Ahmad
      • Publisher: Qaumi Kutub Khana, Bareilly
      • Year of Publication: 1944
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now