aam si hai daraaz-qad bhi nahin
aam sī hai darāz-qad bhī nahīñ
par mohabbat kī koī had bhī nahīñ
sabzī maa.il hai aañkh kā adsa
aur us par koī adad bhī nahīñ
tū ne pūchhā to kah diyā jo thā
ya.anī andar kahīñ hasad bhī nahīñ
ab dalā.el kī poTlī kholeñ
ye havāla to mustanad bhī nahīñ
zaḳhm silne se kyā talāfī ho
dāḳhliyat kī koī mad bhī nahīñ
aam si hai daraaz-qad bhi nahin
par mohabbat ki koi had bhi nahin
sabzi mail hai aankh ka adsa
aur us par koi adad bhi nahin
tu ne puchha to kah diya jo tha
yani andar kahin hasad bhi nahin
ab dalael ki poTli kholen
ye hawala to mustanad bhi nahin
zaKHm silne se kya talafi ho
daKHliyat ki koi mad bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.