Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aamoKHte ka jal zaban se lipaT gaya

Mehdi Jafar

aamoKHte ka jal zaban se lipaT gaya

Mehdi Jafar

MORE BYMehdi Jafar

    āmoḳhte jaal zabāñ se lipaT gayā

    badlī havā to harf pāñsa palaT gayā

    mujh se nikal ke haibat-e-shab thā sāmnā

    saaya vufūr-e-ḳhauf se palTā chimaT gayā

    sad talḳhiyoñ shāḳh pe baiThī thī mauj-e-nīm

    bargad se aa ke jhoñkā havā palaT gayā

    thī shahr-e-inhisār meñ phislan galī galī

    maiñ laḌkhaḌā gayā mirā ḳhachchar rapaT gayā

    tārīk be-kanār samundar paḌā rahā

    manzar tamām ġhaar ke andar simaT gayā

    aamoKHte ka jal zaban se lipaT gaya

    badli hawa to harf ka pansa palaT gaya

    mujh se nikal ke haibat-e-shab ka tha samna

    saya wufur-e-KHauf se palTa chimaT gaya

    sad talKHiyon ki shaKH pe baiThi thi mauj-e-nim

    bargad se aa ke jhonka hawa ka palaT gaya

    thi shahr-e-inhisar mein phislan gali gali

    main laDkhaDa gaya mera KHachchar rapaT gaya

    tarik be-kanar samundar paDa raha

    manzar tamam ghaar ke andar simaT gaya

    Source :
    • Book : Kimiya-e-samri (Pg. 40)
    • Author : Mehdi Jafar
    • Publication : Rujhan Publication (1977)
    • Edition : 1977
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now