Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aandhi chali jo ret ki sara badal gaya

Parvez Waris

aandhi chali jo ret ki sara badal gaya

Parvez Waris

MORE BYParvez Waris

    āñdhī chalī jo ret saarā badal gayā

    sahrā ek pal meñ nazāra badal gayā

    phir se udhar na jaane tākīd dil ne

    par kyā kareñ mizāj dobāra badal gayā

    thoḌī faisle mayassar ho mohlateñ

    samjheñ to is se pahle ishāra badal gayā

    thā rang dhuup to barābar khilā huā

    bādal magar nasīb maarā badal gayā

    lab band the to baat thī koī bañdhī huī

    khulte jo bharam thā hamārā badal gayā

    ab to jahāñ bhī dekho hai daldal sāmnā

    jis kināra samjhe kināra badal gayā

    'parvez' āsmān manzar to saaf thā

    dāman ghaTā ne jaise pasārā badal gayā

    aandhi chali jo ret ki sara badal gaya

    sahra ka ek pal mein nazara badal gaya

    phir se udhar na jaane ki takid dil ne ki

    par kya karen mizaj dobara badal gaya

    thoDi si faisle ki mayassar ho mohlaten

    samjhen to is se pahle ishaara badal gaya

    tha rang dhup ka to barabar khila hua

    baadal magar nasib ka mara badal gaya

    lab band the to baat thi koi bandhi hui

    khulte hi jo bharam tha hamara badal gaya

    ab to jahan bhi dekho hai daldal ka samna

    jis ka kinara samjhe kinara badal gaya

    'parwez' aasman ka manzar to saf tha

    daman ghaTa ne jaise pasara badal gaya

    Source:

    Waqt Tham Gaya (Pg. 29)

    • Author: Parvez Waris
      • Publisher: Gujarat Urdu Sahitya Academy, Gujarat
      • Year of Publication: 2017
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now