aandhi ka imkan bhi to ho sakta tha
āñdhī kā imkān bhī to ho saktā thā
tinke se tūfān bhī to ho saktā thā
sab ne jis ko mushkil se tā'bīr kiyā
vo mujh par āsān bhī to ho saktā thā
paanī sā jo bhar aayā thā āñkhoñ meñ
miTTī kā ehsān bhī to ho saktā thā
rafta-rafta jaan gayā thā jis ko maiñ
vo mujh se anjān bhī to ho saktā thā
jis manzar meñ ḳhvāboñ kī tā'mīr huī
vo manzar vīrān bhī to ho saktā thā
aandhi ka imkan bhi to ho sakta tha
tinke se tufan bhi to ho sakta tha
sab ne jis ko mushkil se ta'bir kiya
wo mujh par aasan bhi to ho sakta tha
pani sa jo bhar aaya tha aankhon mein
miTTi ka ehsan bhi to ho sakta tha
rafta-rafta jaan gaya tha jis ko main
wo mujh se anjaan bhi to ho sakta tha
jis manzar mein KHwabon ki ta'mir hui
wo manzar viran bhi to ho sakta tha
- Book : Ishq (Pg. 65)
- Author :Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.