Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aandhiyan gham ki chalin aur karb-baadal chha gae

Aabida Urooj

aandhiyan gham ki chalin aur karb-baadal chha gae

Aabida Urooj

MORE BYAabida Urooj

    āñdhiyāñ ġham chalīñ aur karb-bādal chhā ga.e

    tujh se kaise ho milan sab rāste dhuñdlā ga.e

    kirchī kirchī ḳhvāhisheñ āñkhoñ meñ chubh kar rah ga.iiñ

    zard mausam aas hariyāliyoñ ko khā ga.e

    maiñ ki jis ne har sa.ūbat muskurā kar jhel

    manzileñ aa.iiñ to kyuuñ āñkhoñ meñ aañsū aa ga.e

    tere aane ke dukh meñ shiddateñ phūloñ ne kiiñ

    vaqt se pahle sab gajre mire murjhā ga.e

    qaht jazboñ paḌā vīrāñ se haiñ dil ke nagar

    shahr par aaseb shāyad hijr ke mañDlā ga.e

    da.avā chāhat nahīñ par jab use sochā 'urūj'

    phuul ḳhushbū rang taare aañkh meñ lahrā ga.e

    aandhiyan gham ki chalin aur karb-baadal chha gae

    tujh se kaise ho milan sab raste dhundla gae

    kirchi kirchi KHwahishen aankhon mein chubh kar rah gain

    zard mausam aas ki hariyaliyon ko kha gae

    main ki jis ne har saubat muskura kar jhel li

    manzilen aain to kyun aankhon mein aansu aa gae

    tere na aane ke dukh mein shiddaten phulon ne kin

    waqt se pahle hi sab gajre mere murjha gae

    qaht jazbon ka paDa viran se hain dil ke nagar

    shahr par aaseb shayad hijr ke manDla gae

    dawa chahat ka nahin par jab use socha 'uruj'

    phul KHushbu rang tare aankh mein lahra gae

    Source:

    Khayaabaan (Pg. 150)

    • Author: Hassan Abbas Raza
      • Publisher: Bazm-e-Khayaabaan-e-adab, Pakistan
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now