Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aane aTak aTak ke lagi sans raat se

Insha Allah Khan Insha

aane aTak aTak ke lagi sans raat se

Insha Allah Khan Insha

MORE BYInsha Allah Khan Insha

    aane aTak aTak ke lagī saañs raat se

    ab hai umiid sirf ḳhudā zaat se

    saaqī havā-e-sard ko sarsarī na jaan

    kaifiyyat us pūchh nabāt-e-nabāt se

    apnā sanam vo qahr hai ai barhaman ki gar

    dekhe manāt ko to girā deve laat se

    kal se to iḳhtilāt meñ taaza hai iḳhtirā.a

    rukne lagī haiñ aap mirī baat baat se

    pesh aa.iye ba-shafqat-o-lutf us se shaiḳh

    bint-ul-anab ko jāniye apne nabāt se

    hāsil kiyā jo ham ne qadam-bos-e-pīr-e-dair

    aa.ī sadā-e-ishq dar-e-somnāt se

    haiñ vājib-ul-vajūd ke anvār ishq meñ

    us sifāt-e-zāt nahīñ mumkināt se

    ash.ār-e-tab.a-zād mirī sun ke shoḳh vo

    kahne lagā ki fā.eda is mohmalāt se

    mutlaq milā ke aañkh idhar dekhte nahīñ

    aate nazar ho aaj bhī kam iltifāt se

    'inshā' ne aa lagā liyā tum ko baat meñ

    zālim vo cūktā hai koī apnī ghaat se

    aane aTak aTak ke lagi sans raat se

    ab hai umid sirf KHuda hi ki zat se

    saqi hawa-e-sard ko tu sarsari na jaan

    kaifiyyat us ki puchh nabaat-e-nabaat se

    apna sanam wo qahr hai ai barhaman ki gar

    dekhe manat ko to gira dewe lat se

    kal se to iKHtilat mein taza hai iKHtiraa

    rukne lagi hain aap meri baat baat se

    pesh aaiye ba-shafqat-o-lutf us se shaiKH ji

    bint-ul-anab ko jaaniye apne nabaat se

    hasil kiya jo hum ne qadam-bos-e-pir-e-dair

    aai sada-e-ishq dar-e-somnat se

    hain wajib-ul-wajud ke anwar ishq mein

    us ki sifat-e-zat nahin mumkinat se

    ashaar-e-taba-zad meri sun ke shoKH wo

    kahne laga ki faeda is mohmalat se

    mutlaq mila ke aankh idhar dekhte nahin

    aate nazar ho aaj bhi kam iltifat se

    'insha' ne aa laga hi liya tum ko baat mein

    zalim wo cukta hai koi apni ghat se

    Source:

    Kulliyat-e-inshaallah khan insha (Pg. 133)

    • Author: Insha Allah Khan Insha
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1876
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now